Teri doli uthi,
Meri mayyat uthi,
Phool tujh par bhi barse,
Phool mujh par bhi barse,
Farq sirf itna sa thaa.....
Tu saj gayi,
Mujhe sajaya gaya ,
Tu bhi ghar ko chali,
Main bhi ghar ko chala,
Farq sirf itna sa thaa.....
Tu uth ke gayi,
Mujhe uthaya gaya ,
Mehfil wahan bhi thi,
Log yahan bhi the,
Farq sirf itna sa thaa.....
Unka hasna wahan,
Inka rona yahan,
Qazi udhar bhi tha,
Maulvi idhar bhi tha,
Farq sirf itna sa thaa.....
Do bol tere padhe,
Do bol mere padhe,
Tera nikaah padha,
Mera janaaza padha,
Farq sirf itna sa thaa.....
Tujhe apnaya gaya ,
Mujhe dafnaya gaya.
Farq sirf itna sa thaa.....
Hope u guyz like it...
No comments:
Post a Comment