Sunday, July 3, 2011

College Days - Full Text

Ahhh !! Back from a sabbatical... well almost !

I know I'm risking my blog by not posting frequently... I have lost a lot of regular readers by not posting at all ! But then, as it is said, "As you sow, so shall you reap !" Its my loss any way !

Okay, I'm back, not with a bang, but yes, err... I'm back, isn't that enough? :P

Without much ado, this post is related to my last post "College Days". It was a poem on college days. I intentionally didn't post the text. I posted a video... an audio-visual (no visuals, it was audio in a video format... lol) of the poem because the poem was to be felt, and not just read.

But bhai-log, public demand ki wajah se I am compelled to post the full text of the poem. Here it is....


Raah dekhi thi is din ki kab se,
Kitne hi sapne sajaa rakhe the na jaane kab se.

Bade utaavle the jaane ko,
Zindagi ka agla padaav paane ko.

Par na jaane kyun, dil mein aaj kuchh aur aata hai,
Waqt ko rok lene ko jee chaahta hai.

Jin baaton ko le kar rote the, aaj un par hasi aati hai,
Na Jaane kyun, aaj un palon ki yaad bahut aati hai.

Kaha karte the, badi mushkil se teen saal seh gaya,
Par aaj kyun lagta hai ki jaise bahut kuchh peeche reh gaya.

Kahi ankahi hazaaron baatein reh gayi,
Na bhoolne waali kuchh yaadein reh gayi.

Meri taang ab kaun kheecha karega,
Mera sar khaane ko kaun mera peecha karega.

Jahaan 2000 ka hisaab nahi, wahaan 2-2 rupaye ke liye kaun ladega,
Kaun raat bhar jaag jaag kar saath padhega.

Kaun birthday par cake mere muh pe lagayega,
Kaun mere naye naye naam banaayega.

Main ab bina matlab ke kis se ladunga,
Bina topic ke kis se faaltu bakwaas karunga.

Kaun assignments ke liye aage peeche chakkar lagaayega,
Kaun lab mein chhup chhup ke Facebook aur Orkut chalaayega.

Kaun exam mein padhne ke liye motivate karega,
"Kitna hua..." kaun raat ko message kar ke ye puchega.

Kaun last moment tak notes zerox karwaayega,
"Mujhe to kuchh bhi nahi aata..." hamesha ye kaun sunaayega.

Kaun fail hone par dilaasa dilaayega,
Kaun galti se number aane par gaaliyaan sunaayega.

Canteen mein slice kis ke saath piyunga,
Wo haseen pal kis ke saath jiyunga.

Aise dost kahaan milenge jo khaai mein bhi dhakka de aayein,
Par fir tumhe bachaane khud bhi kood jaayein.

Meri pange lene ki aadat se pareshaan kaun hoga,
Kabhi mujhe kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga.

Kaun kahega, "saale, tere joke pe hasi nahi aayi..."
Kaun peeche se bula ke kahega, "aage dekh bhai..."

Class mein message chat kis ke saath karunga,
Kis ke saath boring lectures jhelunga.

PJs pe ab raakshas ki tarah kaun hasega,
Roz message na karne par taane kaun kasega.

Mere mobile ko dabba kehne ki jurrat kaun karega,
Bina darey sachhi advice dene ki himmat kaun karega.

Stage par ab kis ke saath jaaunga,
Juniors ko free ka gyaan kaise de paaunga.

Achaanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paagalon ki tarah hasna,
Na jaane ye fir kab hoga, keh do doston ye dobaara sab hoga.

Doston ke liye teachers se kab lad paayenge,
Kya ye din fir se aa paayenge.

Kaun mujhe meri kaabiliyat par bharosa dilaayega,
Aur zyaada hawa mein udne par zameen par le aayega.

Meri khushi se sach mein khush kaun hoga,
Mere gham mein mujh se zyaada dukhi kaun hoga.

Meri poems kaun padhega,
Kaun inhe sach mein samjhega.

Bahut kuchh likhna abhi baaki hai,
Kuchh saath shaayad abhi baaki hai.

Bas ek baat se darr lagta hai doston,
Hum ajnabi naa ban jaayein doston.

Zindagi ke rangon mein dosti ka rang feeka naa pad jaaye,
Kahin aisa naa ho dusre rishton ke bojh taley dosti dum tod jaaye.

Zindagi mein milne ki fariyaad karte rahein,
Agar naa mil sake to kam se kam fariyaad karte rahein.

Chaahe jitna has lo aaj mujh par, main bura nahi maanunga.
Is hasi ko apne dil mein basa lunga.

Aur jab yaad aayegi tumhari,
Yehi hasi le kar thoda sa muskura lunga...


This poem is dedicated to all the people who touched my life during my college years. It is an ode to my college, my classmates, teachers, staff, and everyone who were a part of my life in these wonderful years. Miss you all !

No comments:

Post a Comment